Posts

Showing posts from 2011

Ek meditation yeh bhi..

Ek pyari si jhapki neend ki har dopahar 3-5 baje ke beech office me..na jaane bin bulaye kahan se aati hai aur kitna sukh de jaati hai..bilkul sardiyon ke mausam me sweater ki tarah. Woh apni chair me baithe baithe jaagne ki koshish karna aur palkon ki jid ki bas ab band hi ho jaun… Woh need ki madakta madhur madhur aur khud ki aisi bebasi chair me baithne ki aur chhup chhup kar palkon ko band hone ki thodi si ijazat dene ki…aise jaise papa ki daant ke baad mummy ka pyar karna. Is neend aur dar ki aankh micholi me 1 ghanta kaise beet jaata hai aur itne me kisi ke bolne ki awaz ke saath sare nanhe sapne toot jaate hain! Per vastav me kya adbhut anubhav hai neend me bhi chetna ka.. Kaun kahta hai ki hum office me so rahe hain hum to apni sampoorn chetna me hi hain har pal..aur isi ko to mahan logon ne itna sundar sa naam diya hai..”dhyan-Meditation”